Your fave one-liner man is Gabbar Singh. Yes, he rules, and Sholay is the winner. For Veeru, the line that defines him is Main bhi tere khoon ki kasam khaata hoon, ek-ek ko chun-chun kar maaroonga, ek-ek ko chun-chun kar maaroonga. Gabbar Singh, main aa raha hoon! But Jai’s quizzical quips and Basanti’s juggernaut jaw are remembered as well. Some lines, already carried in the past issues, are not being repeated. Yoon ki, Ram Gopal Varma has announced his Sholay remake, but till then it’s Ramesh Sippy ka Sholay all the way...
Yahaan se pachchaas-pachchaas kos door gaon mein jab bachcha raat ko rota hai, to maa kehti hai, bete, so ja...so ja nahin to Gabbar Singh aa jaayega ? Amjad Khan
Rajat, Calcutta
Saala nautanki, ghadi-ghadi drama karta hai ? Amitabh Bachchan
Loha garam hai, maar do hatoda ? Sanjeev Kumar
Indraneel Mandal, calcutta
Mujhe befazool baat karne ki aadat to hai nahin ? Hema Malini
Tum ne yeh nahin poochha ke hamaara naam kya hai ? Hema; Tumhaara naam kya hai, Basanti ? Amitabh
Hum angrez ke zamaane ke jailor hain ? Asrani
Arrey, bhai, yeh suicide kya hota hai? ? Villager 1; Angrez log jab marte hain to use suicide kehte hain ? Villager 2
Jab daaru utregi, tab yeh bhi utar aayega ? Amitabh
AKSHAR GROVER, Calcutta
Yeh Ramgarhwaale kaun-si chakki ka aata khaate hain? ? Amjad
Is kahaani mein action hai, emotion hai, drama hai, tragedy hai ? Dharmendra
Rajarshi Dutta, Calcutta
Saheb, sikka to khota dono taraf hi hota hai ? Jailor; Sikke aur insaan mein shaayad yehi farak hai ?Sanjeev
Hamaara naam Soorma Bhopali aise hi nahin hai ? Jagdeep
Do din mein sikha doonga ? Dharam; Auraton ko to isne do ghante mein sikha diya hai ? Amitabh
AKSHAR GROVER, CALCUTTA
Sardar, maine aap ka namak khaaya hai, Sardar ? Viju Khote; Ab goli kha ? Amjad
Chal Dhanno! Aaj teri Basanti ki ijjat ka sawaal hai ? Hema
Jai, aaj maine kuchh socha hai ? Dharam; Hmmm, kabhi-kabhi yeh kaam bhi karna chaahiye ? Amitabh
Pyaar se teri god mein khelenge, tumhaare kandhon pe jhoola jhoolenge, aur pyaar se totli zubaan mein kahenge, Ta-ta, ta-ta, hum ko kahaaniyaan sunaao ? Dharam; Yaani, shaadi ke baad, tere ghar mein mujhe ayah ki naukri milne wali hai ? Amitabh
Police coming, mausi going jail. Mausi chakki peesing and peesing and peesing... ? Dharam
Mausi bhi tayyar, Basanti bhi tayyar. Is liye marna cancel. Dharam
Yoon ki, ghoda ghaas se agar dosti kar le to woh khaayega kya
Nishant Kumar, Howrah
Yoon ki, yeh kaun bola?...Prabhu, Tum? Chamatkaar ho gaya! ? Hema
Tum ne socha yeh,ki hum gaon ke rehnewaale hain, is liye hum ko akal to hai nahin. Aur tum hume banaa loge ullu. Tum bahut hoshiyaar samajhte ho apne aap ko. Magar Basanti tum jaison ko haat mein bech kar aayegi, haan. ? Hema
Yeh aadmi [rokenge hume]? Suno! Thakur ne hijdon ki fauj banaayee hai ? Amjad
Kitne aadmi the?...Hmmm, do aadmi...Suar ke bachchon, woh do the, aur tum teen. Phir bhi wapas aa gaye. Khaali haath. Kya samajh kar aaye the, ki Sardar bahut khus hoga, sabaasi dega? ? Amjad
Chhey goli is ke andar. Chhey goli, aur aadmi teen. Bahut beinsaafi hai yeh. ? Amjad
Bach gaya, sala...Yeh bhi bach gaya..Tera kya hoga Kalia? ? Amjad
Tum ne suna, maine kya kaha? Woh sar...yeh pair ? Amjad
Gabbar se keh dena ki Ramgarhwaalon ne paagal kutton ke saamne roti daalna band kar diya ? Sanjeev
Bahut yaaraana lagta hai...bahut yaaraana lagta hai ? Amjad
Aur suno...Chhamak-chhalo. Jab tak tere pair chalenge uski saans chalegi. Tere pair ruke, to yeh bandook chalegi ? Amjad
Ab aayega maza khel ka. Aur yeh khel ab in dono ki zindagi ke saath hi khatam hoga. Aur khatam hoga Ramgarh ka ek-ek ghar? Amjad
AKSHAR GROVER, Calcutta